Saterday evening ko karol bag, barakhamba road aur GK Blast hue hai, ye news hum sab ne suni hai.
kuchh logo ne esse seriously liya tatha 2 minute ka khed prakat kar k apna kartvya pura kar liya, kuchh logo ne esse Terrorism par discuss karne k liye topic bana liya,
kuchh mahaan aatmao ne ishka dosh police ke sar par mandh diya tatha khud saaf saaf bach gaye.
yahaa par mein ye kehna chahta hu ki enn dhamaako ke apraadhi koi aur nahi h balki hum khud hai, kyon ki hum ne hi apne desh mein aise arajak tatvo ko paida hone diya hai, unhe falne-foolne diya hai, kabhi apne swarth k liye to kabhi kisi taakat(power) k dar se.
hamare desh mein neta apna kartvye bhool gaye hai, tabhi to Gujraat k CM Narender modi ne SIMMI ke upar se paabandi uthaane tatha Bangladeshio ko nagrikta Pradan karne ka bharpoor Samarthan kiya hai,
aise samarthan ki wajah se hi enn Arajak tatvo ka sahash badhta hai tatha wo sarkar ko openly challenge karte hai, jaisa ki Simmi ne delhi mein dhamaake kar k kiya.
Monday, September 15, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)